Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain,
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain.
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun,
roshni wale mere nam se jalte kyun hain.
nind se mera talluq hi nahin barson se,
khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain.
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye,
aur sab log yahin ake phisalte kyun hain..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mohabbat me hum mashoor kya huwe..
har harkat humari deewangi lagnay lagi..
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne ,
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagi..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aap ki Hasi Kabhi Kam naa Ho
Aapki Aankh kabhi Aasuon se Nam naa Ho.
Mile Zindagi me Har Khushi Aapko
Bhale uss Khushi me Hum ho naa Ho..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dosti hum ne khoob nibhayi hai….
dosti aur pyaar me na koi dewaar banayi hai….
log to dosti karte hain chehre dekh kar….
par aap ne to dosti ki ek alag pehchaan banayi hai...